Sone Ke Darwaje The
सच्चाई थी पहले के लोगों की जुबानों में,
सोने के थे दरवाजे मिट्टी के मकानों में।
Sachchai Thi Pehle Ke Logon Ki Jubano Mein,
Sone Ke Darwaje The Mitti Ke Makaano Mein.
दो-चार नहीं मुझको बस एक दिखादो,
वो शख़्स जो बाहर से भी अन्दर की तरह हो।
Do-Char Nahi Mujhko Bas Ek Dikha Do,
Wo Shakhs Jo Baahar Se Bhi Andar Ki Tarah Ho.
इंसान से मुसीबतें डरती हैं इस कदर,
आती नहीं अकेले कभी वो किसी के सर।
Insaan Se Museebatein Darrti Hain Iss Kadar,
Aati Nahi Akele Kabhi Wo Kisi Ke Sar.
भरी दुनिया में कोई भी नजर आता नहीं अपना,
एक दौर ऐसा भी गुजर जाता है इन्सां पर।
Bhari Duniya Mein Koi Bhi Nazar Aata Nahi Apna,
Ek Daur Aisa Bhi Gujar Jaata Hai Insaan Par.