Main Jazbat Tha Bikhar Gaya
वो तो मुस्कान थी कहीं खो गयी,
और मैं जज्बात था कहीं बिखर गया।
Wo To Muskan Thi Kahin Kho Gayi,
Aur Main Jazbat Tha Kahin Bikhar Gaya.
किताबें भी बिल्कुल मेरी तरह हैं,
अल्फ़ाज़ से भरपूर मगर खामोश।
Kitaabein Bhi Bilkul Meri Tarah Hain,
Alfaaz Se Bharpoor Magar Khaamosh.
एक मेरा ही हाथ न थामा उसने,
वरना गिरते हुए कितने ही संभाले उसने।
Ek Mera Hi Haath Na Thama Usne,
Varna Girte Huye Kitne Hi Sambhale Usne.
कितना वाकिफ थी वो मेरी कमजोरी से,
वो रो देती थी और मैं हार जाता था।
Kitna Wakif Thi Wo meri Kamjori Se,
Wo Ro Deti Thi Aur Main Haar Jata Tha.
बेकसूर कोई नहीं इस ज़माने में,
बस सबके गुनाह उजागर नहीं होते।
Bekasoor Koi Nahi Iss Zamane Mein,
Bas Sabke Gunaah Ujaagar Nahi Hote.