Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste

Advertisement

Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste

बड़े ही अजीब हैं ये ज़िन्दगी के रास्ते,
अनजाने मोड़ पर कुछ लोग अपने बन जाते हैं,
मिलने की खुशी दें या न दें,
मगर बिछड़ने का गम ज़रूर दे जाते हैं।
Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,
Anjane Mod Par Kuchh Log Apne Ban Jate Hain,
Milne Ki Khushi Dein Ya Na Dein,
Magar Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain.

Advertisement

प्यार में किसी को खोना भी ज़िन्दगी है,
ज़िन्दगी में ग़मों का होना भी ज़िन्दगी है,
यूं तो रहती है होठों पर मुस्कराहट,
पर किसी के लिए रोना भी ज़िन्दगी है।
Pyar Mein Kisi Ko Khona Bhi Zindagi Hai,
Zindagi Mein Gamon Ka Hona Bhi Zindagi Hai,
Yoon To Rehti Hai Hothho Par Muskrahat,
Par Kisi Ke Liye Rona Bhi Zindagi Hai.

क्यों वक़्त के साथ रंगत खो जाती है,
हँसती खेलती ज़िन्दगी भी आम हो जाती है,
एक सवेरा था जब हँसकर उठा करते थे हम,
आज बिना मुस्कुराये ही शाम हो जाती है।
Kyon Waqt Ke Saath Rangat Kho Jati Hai,
Hansti Khelti Zindagi Bhi Aam Ho Jati Hai,
Ek Savera Tha Jab Haskar Uthha Karte The Hum,
Aaj Bina Muskuraye Hi Shaam Ho Jaati Hai.

अपनी तो ज़िन्दगी की अजीब कहानी है,
जिस चीज़ को चाहा वो ही बेगानी है,
हँसते हैं दुनिया को हँसाने के लिए वरना,
दुनिया डूब जाये इन आँखों में इतना पानी है।
Apni To Zindagi Ki Ajeeb Kahani Hai,
Jis Cheej Ko Chaaha Wo Hi Begaani Hai,
Hanste Hain Duniya Ko Hasane Ke Liye Varna,
Duniya Doob Jaye In Aankhon Main Itna Pani Hai.

Advertisement

Gujar Gayi Meri Bhi Zindagi

Waqt Sikha Deta Hai Falsafa Zindagi Ka

Advertisement

You may also like