Azeem Murtaza Shayari Collection
Aaj Tak Yaad Hai Wo Shaame-Judai Ka Samaan,
Teri Aawaaz Ki Larzish Tere Lehje Ki Thakan.
आज तक याद है वो शाम-ए-जुदाई का समाँ,
तेरी आवाज़ की लर्ज़िश तिरे लहजे की थकन।
Toota To Ajeez Aur Hua Ahel-e-Wafa Ko,
Dil Bhi Kahin Uss Shokh Ka Paimaan To Nahi Hai.
Kuchh Nakhs Teri Yaad Ke Baaki Hain Abhi Tak,
Dil Be-Sar-o-Saamaan Sahi Veeraan To Nahi Hai.
Hum Dard Ke Maare Hi Giraan-Jaan Hain Vagrana,
Jeen Teri Furkat Mein Kuchh Aasaan To Nahi Hai.
टूटा तो अज़ीज़ और हुआ अहल-ए-वफ़ा को,
दिल भी कहीं उस शोख़ का पैमाँ तो नहीं है।
कुछ नक़्श तिरी याद के बाक़ी हैं अभी तक,
दिल बे-सर-ओ-सामाँ सही वीराँ तो नहीं है।
हम दर्द के मारे ही गिराँ-जाँ हैं वगर्ना,
जीना तिरी फ़ुर्क़त में कुछ आसाँ तो नहीं है।
Ek Dard-e-Hasti Ne Umr Bhar Rifaqat Ki,
Verna Saath Deta Hai Kaun Aakhiri Dam Tak.
एक दर्द-ए-हस्ती ने उम्र भर रिफ़ाक़त की,
वर्ना साथ देता है कौन आख़िरी दम तक।
Tujhse Mil Kar Bhi Gham-e-Hijr Ki Talkhi Na Miti.
Ek Hasrat Si Ye Andaz-e-Deegar Hai Ki Jo Thi.
तुझसे मिल कर भी ग़म-ए-हिज्र की तल्ख़ी न मिटी,
एक हसरत सी ये अंदाज़-ए-दीगर है कि जो थी।
Ye Aur Baat Hai Ki Madaava-e-Gham Na Tha,
Lekin Tera Khuloos Tawakko Se Kam Na Tha.
Aaye Hain Tujhse Bichhad Kar Wo Log Bhi,
Jin Se Tallukaat Bigadne Ka Gham Na Tha.
ये और बात है कि मदावा-ए-ग़म न था,
लेकिन तिरा ख़ुलूस तवक़्क़ो से कम न था।
आए हैं याद तुझ से बिछड़ कर वो लोग भी,
जिन से ताल्लुक़ात बिगड़ने का ग़म न था।