Abdul Hamid Adam Shayari Collection
उसके बगैर भी तो अदम कट गई हयात,
उसका खयाल उससे जियादा जमील था।
Uske Baghair Bhi To Adam Kat Gayi Hayat,
Uska Khayal Uss Se Ziyada Jameel Tha.
रुक-रुक के साज़ छेड़ कि दिल मुतमइन नहीं,
थम-थम के मय पिला कि तबियत उदास है।
Ruk-Ruk Ke Saaz Chhed Ki Dil Mutmayin Nahi,
Tham-Tham Ke May Pila Ki Tabiyat Udaas Hai.
मरने वाले तो खैर बेबस हैं,
जीने वाले कमाल करते हैं।
Marne Wale To Khair Bebas Hain,
Jeene Wale Kamaal Karte Hain.
शायद मुझे निकाल के पछता रहे हो आप,
महफ़िल में इस ख्याल से फिर आ गया हूँ मैं।
Shayad Mujhe Nikaal Ke Pachhta Rahe Ho Aap,
Mehfil Mein Iss Khayal Se Fir Aa Gaya Hoon Main.
ऐ ग़म-ए-ज़िंदगी न हो नाराज़,
मुझको आदत है मुस्कुराने की।
Ai Gham-e-Zindagi Na Ho Naaraz,
Mujhko Aadat Hai Muskurane Ki.
जो नफस तेरी याद में गुजरे,
वह बंदगी में शुमार होता है।
Jo Nafas Teri Yaad Mein Gujre,
Wo Bandagi Mein Shumaar Hota Hai.
इजाजत हो तो मैं तस्दीक कर लूँ तेरी जुल्फों से,
सुना है ज़िन्दगी इक खूबसूरत दाम है साकी।
Ijazat Ho To Tasdeek Kar Loon Teri Zulfon Se,
Suna Hai Zindagi Ik KhoobSurat Daam Hai Saqi.
जल भी जा बदनसीब परवाने,
शमा की ज़िन्दगी दराज नहीं।
Jal Bhi Ja Badnaseeb Parwane,
Shama Ki Zindagi Daraz Nahi.
आती है ऐसे बिछड़े हुए दोस्तों की याद,
जैसे चराग जलते हों रातों को गांव में।
Aati Hai Aise Bichhde Huye Doston Ki Yaad,
Jaise Chirag Jalte Hon Raaton Ko Gaaon Mein.
चलो एक मुश्किल तो आसाँ हुई,
सुना है रास्ता बहुत पुरखतर है।
Chalo Ek Mushkil To Aasaan Hui,
Suna Hai Rasta Bahut Purkhtar Hai.
उम्र भर भी अगर सदाएं दे,
बीत कर वक़्त फिर नहीं मरते,
सोच कर तोड़ना इनको साक़ी,
टूट कर जाम फिर नहीं जुड़ते।
Umr Bhar Bhi Agar Sadaayein De,
Beet Kar Waqt Fir Nahi Marte,
Soch Kar Todna Inko Saqi,
Toot Kar Jaam Fir Nahi Judte.