Saqi Sharab Shayari, Ye Zikr Sharab Ka Hai
ताजगी मिज़ाज में और रंगत
जैसे पिघला हुआ सोना,
तारीफ तेरी नहीं साकी,
यह ज़िक्र शराब का है।
Taazgi Mizaaj Mein Aur Rangat
Jaise Pighla Hua Sona,
Tareef Teri Nahi Saaqi,
Ye Zikr Sharab Ka Hai.
पीते थे शराब हम
उसने छुड़ाई अपनी कसम देकर,
महफ़िल में यारों ने पिला दी
उसी की कसम देकर।
Peete The Sharab Hum
Usne Chhudayi Apni Kasam Dekar,
Mehfil Mein Yaaron Ne Pila Di
Usee Ki Kasam Dekar.
कहीं सागर लबालब हैं
कहीं खाली प्याले हैं,
यह कैसा दौर है साकी
ये क्या तकसीम है साकी।
Kahin Saagar Labalab Hain
Kahin Khaali Pyale Hain,
Ye Kaisa Daur Hai Saqi
Ye Kya Taqseem Hai Saqi.