Sharab Shayari, Taras Kha Ke Pee Gaya
लहरों पे खेजता हुआ लहरा के पी गया,
साक़ी की हर निगाह पे बल खा के पी गया।
मैंने तो छोड़ दी थी पर रोने लगी शराब,
मैं उसके आँसुओं पे तरस खा के पी गया।
Laheron Pe Khejta Hua Lahera Ke Pee Gaya,
Saqi Ki Har Nigaah Pe Bal Kha Ke Pee Gaya,
Maine To Chhod Di Thi Par Rone Lagi Sharab,
Main Uske Aansuon Pe Taras Kha Ke Pee Gaya.
मैं तल्खी-ए-हयात से घबरा के पी गया,
ग़म की स्याह रात से घबरा के पी गया,
इतनी दकीक से कोई कैसे समझ सके,
यज्दां के वाकियात से घबरा के पी गया।
Main Talkhi-e-Hayaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,
Gham Ki Siyaah Raat Se Ghabra Ke Pee Gaya,
Itni Dakeek Se Koi Kaise Samajh Sake,
Yazdan Ke Wakiyat Se Ghabra Ke Pee Gaya.
ग़म इस कदर बढ़े कि घबरा के पी गया,
इस दिल की बेबसी पे तरस खा के पी गया,
ठुकरा रहा था मुझे बड़ी देर से ज़माना,
मैं आज सब जहान को ठुकरा के पी गया।
Gham Iss Kadar Barhe Ke Ghabra Ke Pee Gaya,
Iss Dil Ki Bebasi Pe Taras Kha Ke Pee Gaya,
Thhukra Raha Tha Mujhe Badi Der Se Zamana,
Main Aaj Sab Jahaan Ko Thhukra Ke Pee Gaya.