Sad Shayari, Usne Sataya Bhi Nahi
प्यास दिल की बुझाने वो कभी आया भी नहीं,
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं,
बेरुख़ी इस से बड़ी और भला क्या होगी,
एक मुद्दत से हमें उसने सताया भी नहीं।
Pyaas Dil Ki Bujhaane Wo Kabhi Aaya Bhi Nahi,
Kaisa Baadal Hai Jiska Koi Saaya Bhi Nahi,
Berukhi Iss Se Badi Aur Bhala Kya Hogi,
Ek Muddat Se Humein Usne Sataya Bhi Nahi.
ये सिलसिला उल्फत का चलता ही रह गया,
दिल चाह में दिलबर के मचलता ही रह गया,
कुछ देर को जल के शमा खामोश हो गई,
परवाना मगर सदियों तक जलता ही रह गया।
Yeh Silsila Ulfat Ka Chalta Hi Reh Gaya,
Dil Ki Chah Mein Dilbar Machalta Hi Reh Gaya,
Kuchh Der Ko Jal Ke Shama Khamosh Ho Gayi,
Parwana Magar Sadiyon Tak Jalta Hi Reh Gaya.
रात भर मुझको ग़म-ए-यार ने सोने न दिया,
सुबह को खौफ़-ए-शब-ए-तार ने सोने न दिया,
शमा की तरह मेरी रात कटी सूली पर,
चैन से याद-ए-कद-ए-यार ने सोने न दिया।
Raat Bhar Mujhko Gham-e-Yaar Ne Sone Na Diya,
Subah Ko Khauf-e-Shab-e-Taar Ne Sone Na Diya.
Shamaa Ki Tarah Meri Raat Kati Suli Par,
Chain Se Yaad-e-Kad-e-Yaar Ne Sone Na Diya.