Nahi Aana Iss Duniya Mein
बहुत लहरों को पकड़ा डूबने वाले के हाथों ने,
यही बस एक दरिया का नजारा याद रहता है,
मैं किस तेजी से ज़िंदा हूँ मैं ये भूल जाता हूँ,
नहीं आना इस दुनिया में दोबारा याद रहता है।
Bahut Laheron Ko Pakda Doobne Wale Ke Haathon Ne,
Yahi Bas Ek Dariya Ka Najaara Yaad Raheta Hai,
Main Kis Teji Se Zinda Hoon Maine Ye Bhool Jata Hoon,
Nahi Aana Iss Duniya Mein Dobara Yaad Raheta Hai.
मिल गया था जो मुकद्दर वो खो के निकला हूँ,
मैं एक लम्हा हूँ बस रो रो के निकला हूँ,
राह-ए-दुनिया में मुझे कोई भी दुश्वारी नहीं,
मैं तेरी ज़ुल्फ़ के पेंचों से हो के निकला हूँ।
Mil Gaya Tha Jo Muqaddar Wo Kho Ke Nikla Hoon,
Main Ek Lamha Hoon Bas Ro-Ro Ke Nikla Hoon,
Raah-e-Duniya Mein Mujhe Koi Bhi Dushwari Nahi,
Main Teri Zulf Ke Pencho Se Ho Ke Nikla Hoon.
खुशबू की तरह आया था वो तेज हवाओं में,
माँगा था जिसे हमने दिन रात दुआओं में,
तुम छत पे नहीं आये मैं घर से नहीं निकला,
ये चाँद बहुत भटका सावन की घटाओं में।
Khushboo Ki Tarah Aaya Tha Wo Tej Hawaaon Mein,
Maanga Tha Jise Humne Din Raat Duaaon Mein,
Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Ghar Se Nahi Nikla,
Ye Chaand Bahut Bhatka Saawan Ki Ghataaon Mein.