Sad Hindi Poetry, Apna Ghar Tak Jala Diya
मुद्दत से थी किसी से मिलने की आरज़ू,
ख्वाहिश-ए-दीदार में सब कुछ गँवा दिया,
किसी ने दी खबर कि वो आयेंगे रात को,
इतना किया उजाला कि घर तक जला दिया।
Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo,
Khwahish-e-Deedar Mein Sab Kuchh Ganwa Diya,
Kisi Ne Di Khabar Ki Woh Aayenge Raat Ko,
Itna Kiya Ujala Ki Ghar Tak Jala Diya.
ये आरज़ू थी कि ऐसा भी कुछ हुआ होता,
मेरी कमी ने तुझे भी रुला दिया होता,
मैं लौट आता तेरे पास एक लम्हे में,
तेरे लबों ने मेरा नाम तो लिया होता।
Yeh Aarzoo Thi Ke Aisa Bhi Kuchh Hua Hota,
Meri Kami Ne Tujhe Bhi Rula Diya Hota,
Main Laut Aata Tere Paas Ek Lamhe Mein,
Tere Labon Ne Mera Naam To Liya Hota.
वो दर्द ही क्या जो आँखों से बह जाए,
वो खुशी ही क्या जो होठों पर रह जाए,
कभी तो समझो मेरी खामोशी को,
वो बात ही क्या जो लफ्ज़ आसानी से कह जायें।
Wo Dard Hi Kya Jo Aankhon Se Beh Jaye,
Wo Khushi Hi Kya Jo Hothhon Par Reh Jaye,
Kabhi To Samjho Meri Khamoshi Ko,
Wo Baat Hi Kya Jo Lafz Aasani Se Keh Jaye.