Maut Ka Malaal Na Aaya Shayari
अब तलक हम मुन्तजिर रहे हैं जिनके,
उनको हमारा ख्याल तक न आया,
उनके प्यार में हमारी जान तक चली गयी,
उनको हमारी मौत का मलाल तक न आया।
Ab Talak Hum Muntzir Rahe Hain Jinke,
Unko Humara Khayal Tak Na Aaya,
Unke Pyar Mein Humari Jaan Tak Chali Gayi,
Unko Humari Maut Ka Malaal Tak Na Aaya.
लम्हा-लम्हा साँसें खत्म हो रही हैं,
ज़िन्दगी मौत के आगोश में सो रही है,
उस बेवफा से न पूछो मेरी मौत के वजह,
वही तो कातिल है दिखाने को रो रही है।
Lamha-Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain,
Zindagi Maut Ke Aagosh Mein So Rahi Hai,
Uss Bewafa Se Na Poochho Meri Maut Ki Wajah,
Wohi To Qatil Hai Dikhaane Ko Rahi Hai.
वादे भी उसने क्या खूब निभाए हैं,
ज़ख्म और दर्द तोहफे में भिजवाए हैं,
इस से बढ़कर वफ़ा कि मिसाल क्या होगी,
मौत से पहले मेरा कफ़न ले आये हैं।
Vaade Bhi Usne Kya Khoob Nibhaye Hain,
Zakhm Aur Dard Tohfe Mein Bhijwaye Hain,
Iss Se Badkar Wafa Ki Misaal Kya Hogi,
Maut Se Pehle Mera Kafan Le Aaye Hain.