Maut Status, Humse Be-Rukhi Sab Ne

Advertisement

तमाम उम्र जो हमसे बेरुखी की सबने,
कफ़न में हम भी अजीज़ों से मुँह छुपा के चले।
Tamam Umar Jo Ki Humse Be-Rukhi Sab Ne,
Kafan Mein Hum Bhi Ajeezon Se Munh Chhupa Ke Chale.

लम्बी उम्र की दुआ मेरे लिए न माँग,
ऐसा न हो कि तुम भी छोड़ दो और मौत भी न आये।
Lambi Umar Ki Duaa Mere Liye Na Maang,
Aisa Na Ho Ki Tum Bhi Chhod Do Aur Maut Bhi Na Aaye.

Advertisement

वही तफरीक का आलम है बाद-ए-मर्ग भी यारों,
न कतबे एक जैसे हैं, न कब्रें एक जैसी हैं।
Wahi Tafreeq Ka Aalam Hai Baad-e-Marg Bhi Yaaro,
Na Katbe Ek Jaise Hain, Na Qabrein Ek Jaisi Hain.

किससे महरूम-ए-किस्मत की शिकायत कीजे,
हमने चाहा था कि मर जायें सो वो भी नहीं हुआ।
Kis Se Mahroom-e-Kismat Ki Shikayat Keeje,
Humne Chaha Tha Ki Mar Jaayein So Wo Bhi Nahi Hua.

Advertisement

Shayari Maut Ka Waqt

Death Shayari, Maut Ka Kisko Pata

Advertisement

You may also like