Humse Be-Rukhi Sab Ne
तमाम उम्र जो हमसे बेरुखी की सबने,
कफ़न में हम भी अजीज़ों से मुँह छुपा के चले।
Tamam Umar Jo Ki Humse Be-Rukhi Sab Ne,
Kafan Mein Hum Bhi Ajeezon Se Munh Chhupa Ke Chale.
लम्बी उम्र की दुआ मेरे लिए न माँग,
ऐसा न हो कि तुम भी छोड़ दो और मौत भी न आये।
Lambi Umar Ki Duaa Mere Liye Na Maang,
Aisa Na Ho Ki Tum Bhi Chhod Do Aur Maut Bhi Na Aaye.
वही तफरीक का आलम है बाद-ए-मर्ग भी यारों,
न कतबे एक जैसे हैं, न कब्रें एक जैसी हैं।
Wahi Tafreeq Ka Aalam Hai Baad-e-Marg Bhi Yaaro,
Na Katbe Ek Jaise Hain, Na Qabrein Ek Jaisi Hain.
किससे महरूम-ए-किस्मत की शिकायत कीजे,
हमने चाहा था कि मर जायें सो वो भी नहीं हुआ।
Kis Se Mahroom-e-Kismat Ki Shikayat Keeje,
Humne Chaha Tha Ki Mar Jaayein So Wo Bhi Nahi Hua.