Khwabon Ke Ghar Mein Shayari
नहीं जो दिल में जगह तो नजर में रहने दो,
मेरी हयात को तुम अपने असर में रहने दो,
मैं अपनी सोच को तेरी गली में छोड़ आया हूँ,
मेरे वजूद को ख़्वाबों के घर में रहने दो।
Nahi Jo Dil Mein Jagah To Najar Mein Rehne Do,
Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,
Mere Wajood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do.
प्यार उस से इस कदर करता चला जाऊं,
वो ज़ख्म दे और मैं भरता चला जाऊं,
उस की ज़िद है कि वो मुझे मार ही डाले,
तो मेरी भी ज़िद है कि उसपे मरता चला जाऊं।
Pyar Uss Se Iss Qadar Karta Chala Jaaun,
Wo Zakhm De Aur Main Bharta Chala Jaaun,
Uss Ki Zid Hai Ki Wo Mujhe Maar Hi Dale,
To Meri Bhi Zid Hai Ki Uspe Marta Chala Jaaun.
हमारे एक इशारे पर वो ऐसे मुसकुरा बैठे,
हम उनकी मुस्कराहट पे खुद को लुटा बैठे,
न समझे हैं न समझेंगे वो मोहब्बत को,
कि उनकी हर अदा पे हम खुद को मिटा बैठे।
Humaare Ek Ishaare Par Wo Aise Muskura Baithe,
Hum Unki Muskurahat Pe Khud Ko Luta Baithe,
Na Samjhe Hain Na Samjhenge Wo Mohabbat Ko,
Ke Unki Har Adaa Pe Hum Khud Ko Mita Baithe.