Gham Ki Zulmat Raaton Mein
तेरी ज़ुल्फों की स्याही से न जाने कैसे,
ग़म की ज़ुल्मत मेरी रातों में चली आई है।
Teri Zulfon Ki Syaahi Se Na Jaane Kaise,
Gham Ki Zulmat Meri Raaton Mein Chali Aayi Hai.
अब तो मेरी आँख में एक अश्क भी नहीं,
पहले की बात और थी ग़म था नया नया।
Ab To Meri Aankh Mein Ek Ashq Bhi Nahi,
Pehle Ki Baat Aur Thi Gham Tha Naya Naya.
अब तो हाथों से लकीरें भी मिटी जाती हैं,
उसे खोकर मेरे पास रहा कुछ भी नहीं।
Ab To Haathon Se Lakeerein Bhi Miti Jati Hain,
Usey Khokar Mere Paas Raha Kuchh Bhi Nahi.