Gam Ka Bojh Ab Sambhalta Nahin

Advertisement

Gham Shayari in Hindi

तेरी याद में जरा आँखें भिगो लूँ,
उदास रात की तन्हाई में सो लूँ,
अकेले गम का बोझ अब संभलता नहीं,
तू मिल जाये तो तुझसे लिपट कर रो लूँ।

Teri Yaad Mein Jara Aankhen Bhigo Loon,
Udaas Raat Ki Tanhaai Mein So Loon,
Akele Gam Ka Bojh Ab Sambhalta Nahin,
Tu Mil Jaaye To Tujhse Lipat Kar Ro Loon.

Advertisement

जिनकी आँखें आँसुओं से नम नहीं,
क्या समझते हो उसे कोई गम नहीं,
तुम तड़प कर रो दिए तो क्या हुआ,
गम छुपा के हँसने वाले भी कम नहीं।

Jinki Aankhein Aansuon Se Nam Nahi,
Kya Samajhte Ho Usey Koi Gham Nahi,
Tum Tadap Kar Ro Diye To Kya Hua,
Gham Chhupa Ke Hasne Wale Bhi Kam Nahi.

मोहब्बत की राहों का अंजाम यही है,
गम को अपना लो बस पैगाम यही है,
इस शहर में मोहब्बत ढूंढे न मिलेगी,
हाँ बेवफाओं का तो एलान यही है।

Mohabbat Ki Raahon Ka Anzaam Yehi Hai,
Gham Ko Apna Lo Bas Paigaam Yehi Hai,
Iss Shahar Mein Mohabbat Dhunde Na Milegi,
Haan BeWafaaon Ka Toh Elaan Yehi Hai.

Advertisement

Kitne Gham Chipaaye Humne

Shayari Gham Deewaron Pe Likh Daale

Advertisement

Read more Gham Shayari in Hindi