महलों की तुम हो तो सड़कों पर हम भी नहीं,
प्यार करके कहते हो कि शादी-शुदा हैं हम,
तो कान खोल के सुन लो कुआँरे हम भी नहीं।
Agar Haseen Tum Ho To Bure Hum Bhi Nahi,
Mahelon Ki Tum Ho To Sadkon Par Hum Bhi Nahi,
Pyar Karke Kehte Ho Ki Shadi-Shuda Hain Hum,
To Kaan Khol Ke Sun Lo Kuwaare Hum Bhi Nahi.
इस सर्दी की ठंडक मेरे दिल में उतर गई है,
इसी वजह से मेरी शायरी जम सी गयी है।
Iss Sardi Ki Thandak Mere Dil Mein Utar Gayi Hai,
Isee Wajah Se Meri Shayari Jam Si Gayi Hai.
पलट दूँगा सारी दुनिया मैं ऐ खुदा,
बस रजाई से निकलने की ताकत दे दे।
Palat Dunga Saari Duniya Main Ai Khuda,
Bas Rajaai Se Nikalne Ki Taqat De De.
जवानी के दिन चमकीले हो गए,
हुस्न के तेवर भी नुकीले हो गए,
हम इज़हार करने में रह गए,
उधर उनके हाथ पीले हो गए।
Jawani Ke Din Chamkeele Ho Gaye,
Husn Ke Tevar Bhi Nukile Ho Gaye,
Hum Izhaar Karne Mein Reh Gaye,
Aur Udhar Unke Haath Peele Ho Gaye.
हमारी किस्मत ही कुछ ऐसी निकली ग़ालिब,
ज़मीन मिली तो बंजर और एडमिन मिला तो कंजर।
Humari Kismat Hi Kuchh Aisi Nikli Ghalib,
Zamin Mili To Banjar Aur Admin Mila To Kanjar.
न छेड़ा करो बात-बात पे एडमिन को यारो,
पूरे ग्रुप में उसकी बेइज्जती खराब होती है।
Na Chheda Karo Baat-Baat Pe Admin Ko Yaaro,
Poore Group Mein Uski Be-izzati Kharab Hoti Hai.
जब सफेद साड़ी पे लाल बिंदी लगाती हो,
कसम से एम्बुलेंस नजर आती हो,
वो तो घायलों को लेकर जाती है,
और तुम घायल कर के जाती हो।
Jab Safed Saari Pe Laal Bindi Lagati Ho,
Kasam Se Ambulance Najar Aati Ho,
Wo To Ghaylo Ko Lekar Jaati Hai,
Aur Tum Ghayal Kar Ke Jaati Ho.