Dard Shayari, Shayad Wo Dard Jaane
बैठे है रहगुज़र पर दिल का दिया जलाये,
शायद वो दर्द जाने, शायद वो लौट आये।
Baithhe Hain RahGujar Par Dil Ka Diya Jalaye,
Shayad Wo Dard Jaane Shayad Wo Laut Aaye.
इसी ख्याल से गुज़री है शाम-ए-ग़म अक्सर,
कि दर्द हद से जो बढ़ेगा तो मुस्कुरा दूंगा।
Isee Khayal Se Gujri Hai Sham-e-Gham Aksar,
Ki Dard Hadd Se Jo Barhega To Muskura Dunga.
तरतीब-ए-सितम का भी सलीक़ा था उसे,
पहले पागल कर दिया फिर मुझे पत्थर मारे।
Tarteeb-e-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usey,
Pehle Pagal Kiya Aur Fir Mujhe Patthar Maare.
जोरों से हँस पड़े हम बड़ी मुद्दतों के बाद,
फिर कहा किसी ने कि मेरा ऐतबार कीजिये।
Joro Se Hans Pade Hum Badi Muddaton Ke Baad,
Fir Kaha Kisi Ne Ke Mera Aitbar Keejiye.