Alone Shayari, Tanha Jaise Koi Darakht
मेरी है वो मिसाल कि जैसे कोई दरख़्त,
चुप-चाप आँधियों में भी तन्हा खड़ा हुआ।
Meri Hai Wo Misaal Ki Jaise Koi Darakht,
Chup-Chap Aandhiyon Mein Hai Tanha Khada Hua.
कुछ लोग जमाने में ऐसे भी तो होते हैं,
महफिल में हँसते हैं तन्हाई में रोते हैं।
Kuchh Log Zamane Mein Aise Bhi Hote Hain,
Mehfil Mein Hanste Hain Tanhai Mein Rote Hain.
बस इतना होश है मुझे रोज-ए-विदा-ए-दोस्त,
वीराना था नजर में जहाँ तक नजर गयी।
Bas Itna Hosh Hai Mujhe Roj-e-Vida-e-Dost,
Veerana Tha Najar Mein Jahan Tak Najar Gayi.