Hindi Lonely Shayari, Tanhayion Ka Aalam
Tanhayion Ke Aalam Ki Na Baat Karo Karo Dost,
Varna Ban Uthhega Jaam Aur BadNaam Sharab Hogi.
तन्हाइओं के आलम की ना बात करो दोस्त,
वर्ना बन उठेगा जाम और बदनाम शराब होगी।
Kabhi Ghabra Gaya Hoga Dil Tanhayi Mein Unka,
Meri Tasveer Ko Sine Se Laga Kar So Gaye Honge.
कभी घबरा गया होगा दिल तन्हाई में उनका,
मेरी तस्वीर को सीने से लगा कर सो गए होंगे।
Ghar Bana Kar Mere Dil Mein Woh Chhod Gaya,
Na Khud Rehta Hai Na Kisi Aur Ko Basne Deta Hai.
घर बना कर मेरे दिल में वो छोड़ गया,
न खुद रहता है न किसी और को बसने देता है।
Jeena To Padega Faqat Duniya Ko Dikhane Ke Liye,
Varna Maine Kab Chaahi Thi Uske Bagair Zindagi.
जीना तो पड़ेगा फ़क़त दुनियाँ को दिखाने के लिये,
वरना मैनें कब चाही थी उसके बगैर जिदंगी।
Bikhri Kitaabein Bheege Palak Aur Yeh Tanhai,
Kahun Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuchh Bhi Nahi.
बिखरी किताबें भीगे पलक और ये तन्हाई,
कहूँ कैसे कि मिला मोहब्बत में कुछ भी नहीं।