Zeher Tha Uski Yaad Mein
बड़ा अजीब सा ज़हर था उसकी याद में,
पूरी उम्र गुजर गई मरते-मरते।
Bada Ajeeb Sa Zeher Tha Uski Yaad Mein,
Poori Umr Gujar Gayi Marte-Marte.
मसरूफ़ ज़िन्दगी में तेरी याद के सिवा,
आता नहीं है कोई मेरा हाल पूछने।
Mashroof Zindagi Mein Teri Yaad Ke Siwa,
Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Poochhne.
जलज़ला सा है दिल की गलियों में,
शायद तेरे एहसास गुजरें है इधर से।
Jalzala Sa Hai Dil Ki Galiyon Mein,
Shayad Tere Ehsaas Gujre Hain idhar Se.
मायूसी, बेचैनी, तन्हाई, ख़ामोशी,
तुम्हारे याद के संग एक कारवाँ क्यूँ है?
Mayoosi, Bechaini, Tanhai, Khamoshi,
Tumhari Yaad Ke Sang Ek Kaarwaan Kyun Hai?
कर रहा था ग़म-ए-जहाँ का हिसाब,
आज तुम याद आये तो बेहिसाब आये।
Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisaab,
Aaj Tum Yaad Aaye To BeHisaab Aaye.
क्यूँ करते हो मेरे दिल पर इतना सितम,
याद करते नहीं तो याद आते ही क्यूँ हो।
Kyun Karte Ho Mere Dil Par Itna Sitam,
Yaad Karte Nahi To Yaad Aate Kyun Ho.