किस जगह रख दूँ तेरी याद के चिराग को,
कि रोशन भी रहूँ और हथेली भी ना जले।
Kis Jagah Rakh Doon Teri Yaad Ke Chirag Ko,
Ki Roshan Bhi Rahoon Aur Hatheli Bhi Na Jale.
बुझा भी दो सिसकते हुए यादों के चिराग,
इनसे कब हिज्र की रातों में उजाला होगा।
Bujha Bhi Do Sisakte Huye Yaadon Ke Chirag,
Inse Kab Hijr Ki Raaton Mein Ujaala Hoga.
लफ्ज़, अल्फाज़, कागज़ और किताब,
कहाँ-कहाँ नहीं रखता तेरी यादों का हिसाब।
Lafz, Alfaz, Kagaz Aur Kitaab,
Kahan-Kahan Nahi Rakhta Teri Yaadon Ka Hisaab.
नींद को आज भी शिकवा है मेरी आँखों से,
मैंने आने न दिया उसको तेरी याद से पहले।
Neend Ko Aaj Bhi Shiqwa Hai Meri Aankhon Se,
Maine Aane Na Diya Usko Teri Yaad Se Pehle.
हर तरफ जीस्त की राहों में कड़ी धूप है,
बस तेरी याद के साए हैं पनाहों की तरह।
Har Taraf Zeest Ki Rahon Mein Kadi Dhoop Hai,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hain Panaahon Ki Tarah.
Yaad Karenge To Din Se
Yaad Ko Ibaadat Bana Liya