Khoyi Hui Ek Yaad
बिछड़ी हुई राहों से जो गुजरे हम कभी,
हर मोड़ पर खोई हुई एक याद मिली है।
Bichhdi Hui Raahon Se Jo Gujre Hum Kabhi,
Har Mod Par Khoyi Hui Ek Yaad Mili Hai.
ना कर जिद अपनी हद में रह ए दिल,
वो बड़े लोग है मर्जी से याद करते है।
Na Kar Zidd Apni Hadd Mein Reh Ai Dil,
Wo Bade Log Hain Marzi Se Yaad Karte Hain.
एक तुम हो सनम कि कुछ कहते नहीं,
एक तुम्हारी यादें हैं जो चुप रहती नहीं।
Ek Tum Ho Sanam Ki Kuchh Kehte Nahi,
Ek Tumhari Yaadein Hain Jo Chup Rehti Nahi.
अब कर के फरामोश तो नाशाद करोगे,
पर हम जो न होंगे तो बहुत याद करोगे।
Ab Kar Ke Faramosh To Nashaad Karoge,
Par Hum Jo Na Honge To Bahut Yaad Karoge.
अब कौन से मौसम से कोई आस लगाये,
बरसात में भी याद न जब उनको हम आये।
Ab Kaun Se Mausam Se Koi Aas Lagaaye,
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab UnKo Hum Aaye.