Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindagi
कुछ इस तरह से गुज़ारी है ज़िन्दगी जैसे,
तमाम उम्र किसी दूसरे के घर में रहा।
Kuchh Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindagi Jaise,
Tamaam Umr Kisi Doosre Ke Ghar Mein Raha.
ज़िन्दगी लोग जिसे मरहम-ए-ग़म जानते हैं,
जिस तरह हम ने गुज़ारी है वो हम जानते हैं।
Zindagi Log Jise Marham-e-Gham Jaante Hain,
Jis Tarah Hum Ne Gujari Hai Wo Hum Jante Hain.
जो तेरी चाह में गुजरी वही ज़िन्दगी थी बस,
उसके बाद तो बस ज़िन्दगी ने गुजारा है मुझे।
Jo Teri Chaah Mein Gujri Wahi Zindagi Thi Bas,
Uske Baad To Bas Zindagi Ne Gujara Hai Mujhe.