Usey Zamane Ne Bahut Sataya Hai
वो चाँदनी का बदन खुशबुओं का साया है,
बहुत अजीज़ हमें है मगर पराया है,
उसे किसी की मोहब्बत का ऐतबार नहीं,
उसे ज़माने ने शायद बहुत सताया है।
Wo Chaandni Ka Badan Khushbuon Ka Saaya Hai,
Bahut Ajeez Humein Hai Magar Paraya Hai,
Usey Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbaar Nahi,
Usey Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai.
वो मुझ तक आने की राह चाहता है,
लेकिन मेरी मोहब्बत का गवाह चाहता है,
खुद आते-जाते मौसमों की तरह है,
और मुझसे मोहब्बत की इन्तेहाँ चाहता है।
Wo Mujh Tak Aane Ki Raah Chahta Hai,
Lekin Meri Mohabbat Ka Gawaah Chahta Hai,
Khud Aate-Jaate Mausamo Ki Tarah Hai,
Aur Mujhse Mohabbat Ki Inteha Chahta Hai.
ज़िन्दगी सिर्फ इसी धुन में गुजारे जायें,
बस तेरा नाम, तेरा नाम पुकारे जायें,
जब ये तय है कि यहाँ कोई नहीं आएगा,
किस की खातिर दर-ओ-दीवार सँवारे जायें।
Zindagi Sirf Isee Dhun Mein Gujaare Jayein,
Bas Tera Naam, Tera Naam Pukaare Jayein,
Jab Ye Tay Hai Ki Yahan Koi Nahin Aayega,
Kis Ki Khatir Dar-O-Deewar Sanware Jayein.
(Adeem Hashmi)