Sadness Shayari in Hindi, Udaasi Ka Sabab
आज ना पूछो मुझसे मेरी उदासी का सबब,
बस सीने से लगा कर मुझे रूला दे कोई।
Aaj Na Poochho Mujhse Meri Udaasi Ka Sabab,
Bas Seene Se Laga Kar Mujhe Rula De Koi.
रहने दो अब कि तुम भी मुझे पढ़ न सकोगे,
बरसात में कागज़ की तरह भीग गया हूँ।
Rehne Do Ab Ki Tum Bhi Mujhe Parh Na Sakoge,
Barsaat Mein Kagaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hoon.
उम्र भर लिखते रहे फिर भी वरक सादा रहा,
जाने क्या लफ़्ज़ थे जो हम से न तहरीर हुए।
Umr Bhar Likhte Rahe Phir Bhi Warq Sada Raha,
Jaane Kya Lafz The Jo Humse Na Tahreer Hue.
वो मेहरबान है तो इकरार क्यूँ नहीं करता,
वो बदगुमाँ है तो सौ बार आजमाये मुझे।
Wo Meherbaan Hai To Ikraar Kyun Nahin Karta,
Wo BadGumaan Hai To Sau Baar Aazmaye Mujhe.
अब क्या कहूँ कि उम्र गुजारी है किस तरह,
ये भी कोई सवाल है कुछ और बात कर।
Ab Kya Kahoon Ke Umr Gujaari Hai Kis Tarah,
Ye Bhi Koi Sawaal Hai Kuchh Aur Baat Kar.