Udaasi Shayari, Udaas Shaam Ka Manzar
इतना उदास शाम का मंजर कभी न था,
सूरज के साथ डूब गया मेरा दिल भी आज।
Itna Udaas Shaam Ka Manzar Kabhi Na Tha,
Sooraj Ke Sath Doob Gaya Mera Dil Bhi Aaj.
मायूसियों के दौर में किन हसरतों के साथ,
हम पत्थरों के दिल में खुदा ढूंढ़ते रहे।
Maayoosiyon Ke Daur Mein Kin Hasraton Ke Saath,
Hum Pattharon Ke Dil Mein Khuda Dhoondhate Rahe.
वस्ल की रुत भी गई, हिज्र के मौसम भी गए,
हमने इस उम्र में देखे हैं जमाने कितने।
Vasl Ki Rut Bhi Gayi, Hijr Ke Mausam Bhi Gaye,
Humne Iss Umra Mein Dekhe Hain Zamane Kitne.
वास्ता हम से तू पहले ही वो कम रखते हैं,
वो हमीं हैं जो मोहब्बत का भरम रखते हैं।
Wasta Hum Se Tu Pehle Hi Wo Kam Rakhte Hain,
Wo Humin Hain Jo Mohabbat Ka Bharam Rakhte Hain.
ये जो चेहरे से तुम्हें लगते हैं बीमार से हम,
खूब रोये हैं लिपट कर दर-ओ-दीवार से हम।
Ye Jo Chehre Se Tumhein Lagte Hain Beemar Se Hum,
Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-o-Deewar Se Hum.
खामोश रह तन्हा बैठा याद कर उस को,
तू ने इश्क किया है गुनाह छोटा नहीं है तेरा।
Khaamosh Reh Tanha Baith Yaad Kar Us Ko,
Tu Ne Ishq Kiya Hai Gunaah Chota Nahi Hai Tera.