Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi
चल मेरे हमनशीं अब कहीं और चल,
इस चमन में अब अपना गुजारा नहीं,
बात होती गुलों तक तो सह लेते हम,
अब काँटों पे भी हक हमारा नहीं।
Chal Mere Hum-Nashin Ab Kahin Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Gujaara Nahi,
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi.
तलाश उसकी करो जो किसी के पास न हो,
भुला दो उसे जिस पर विश्वास न हो,
हम तो अपने ग़मों पर भी हँस पड़ते हैं,
वो इसलिए कि सामने वाला उदास न हो।
Talaash Uski Karo Jo Kisi Ke Paas Na Ho,
Bhula Do Use Jis Par Vishwas Na Ho,
Hum To Apne Gamo Par Bhi Hass Padte Hain,
Wo Isliye Ki Samne Wala Udaas Na Ho.
खुद को कुछ इस कदर तबाह किया,
इश्क़ किया एक खूबसूरत गुनाह किया,
जब मोहब्बत में न थे तब खुश थे हम,
दिल का सौदा हमने बेवजह किया।
Khud Ko Kuchh Iss Kadar Tabaah Kiya,
Ishq Kiya Ek KhoobSurat Gunaah Kiya,
Jab Mohabbat Mein Na The Tab Khush The Hum,
Dil Ka Sauda Humne BeWajah Kiya.