True Sad Shayari, Patthar Nahi Hoon Main
ठोकर न लगा मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,
हैरत से न देख कोई मंज़र नहीं हूँ मैं,
उनकी नजर में मेरी कदर कुछ भी नहीं,
मगर उनसे पूछो जिन्हें हासिल नहीं हूँ मैं।
Thokar Na Laga Mujhe Patthar Nahi Hoon Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hoon Main,
Mana Ki Unki Najro Mein Meri Kadr Kuchh Bhi Nahi,
Magar Unse Poocho Jinhein Haasil Nahi Hoon Main.
अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे,
बे-हिस बना चुकी है बहुत ज़िन्दगी मुझे,
वो वक़्त भी ख़ुदा न दिखाए कभी मुझे,
कि उन की नदामतों पे हो शर्मिंदगी मुझे।
Ab To Khushi Ka Gham Hai Na Gham Ki Khushi Mujhe,
Be-His Bana Chuki Hai Bahut Zindagi Mujhe,
Wo Waqt Bhi Khuda Na Dikhaye Kabhi Mujhe,
Ke Unki Nadamaton Pe Ho Sharmindgi Mujhe.
अपनी तस्वीर को आँखों से लगाता क्या है,
एक नजर मेरी तरफ देख तेरा जाता क्या है,
मेरी बर्बादी में तू भी है बराबर का शामिल,
मेरे किस्से तू गैरों को सुनाता क्या है।
Apni Tasvir Ko Aankhon Se Lagata Kya Hai,
Ek Najar Meri Taraf Dekh Tera Jata Kya Hai,
Meri Barbaadi Mein Tu Bhi Hai Barabar Ka Shamil,
Mere Kisse Tu Ghairo Ko Sunaata Kya Hai.