- Home
- Romantic Shayari
- Page-3
गर्लफ्रेंड बॉयफ्रेंड के लिए प्यार भरी रोमांटिक हिंदी शायरी
देखूं आइना और तू नजर आये
मेरे वजूद में काश तू उतर जाए,
मैं देखूं आइना और तू नजर आये,
तू हो सामने और वक्त ठहर जाए,
और तुझे देखते हुए जिंदगी गुज़र जाए।
Mere Wazood Mein Kaash Tu Utar Jaye,
Main Dekhun Aayina Aur Tu Nazar Aaye,
Tu Ho Samne Aur Waqt Thhehar Jaaye,
Aur Tujhe Dekhte Huye Zindagi Gujar Jaye.

Romantic Haathon Mein Tera Haath
ये लकीरें ये नसीब ये किस्मत,
सब फ़रेब के आईने हैं,
हाथों में तेरा हाथ होने से ही,
मुकम्मल ज़िन्दगी के मायने हैं।
Ye Lakeerein Ye Naseeb Ye Kismat,
Sab Fareb Ke Aayine Hain,
Haathon Mein Tera Haath Hone Se Hi,
Mukammal Zindagi Ke Mayne Hain.
Aankhon Ke Rubaru Tum
आ भी जाओ मेरी आँखों के रूबरू अब तुम,
कितना ख्वाबों में तुझे और तलाशा जाए।
Aa Bhi Jaao Meri Aankhon Ke Rubaru Ab Tum,
Kitna Khwaabon Mein Tujhe Aur Talasha Jaye.

रूबरू मिलने का मौका मिलता नहीं है रोज,
इसलिए लफ्ज़ों से तुमको छू लिया मैंने।
RuBaRu Milne Ka Mauka Milta Nahin Hai Roj,
Isliye Lafzon Se Tum Ko Chhoo Liya Maine.
Chala Hai Aapke Pyar Ka Jadoo
चुपके से आकर इस दिल में उतर जाते हो,
साँसों में खुशबू बन के बिखर जाते हो,
कुछ यूँ चला है आपके प्यार का जादू,
सोते-जागते बस तुम ही नजर आते हो।
Chupke Se Aakar Is Dil Mein Utar Jate Ho,
Saanson Mein Khushboo Ban Ke Bikhar Jate Ho,
Kuchh Yoon Chala Hai Aapke Pyar Ka Jadoo,
Sote Jagte Bas Tum Hi Najar Aate Ho.
Tere Pyar Ki Paagal Khushboo
शाम होते ही तेरे प्यार की पागल खुशबू,
नींद आँखों से सुकून दिल का चुरा लेती है।
Shaam Hote Hi Tere Pyar Ki Paagal Khushboo,
Neend Aankhon Se Sukoon Dil Ka Chura Leti Hai.

सामने बैठे रहो दिल को करार आएगा,
जितना देखेंगे तुम्हें उतना ही प्यार आएगा।
Saamne Baithe Raho Dil Ko Qaraar Aayega,
Jitna Dekhenge Tumhein Utna Hi Pyar Aayega.
