Jab Maa Muskura De
कभी मुस्कुरा दे तो लगता है ज़िंदगी मिल गयी मुझको,
माँ दुखी हो तो दिल मेरा भी दुखी हो जाता है।
Kabhi Muskura De To Lagta Hai Zindagi Mil Gayi Mujhko,
Maa Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai.
तेरे दामन में सितारे हैं तो होंगे ऐ फलक,
मुझको मेरी माँ की मैली ओढ़नी अच्छी लगी।
Tere Daaman Mein Sitaare Hain To Hongein Aye Falak,
Mujhko Meri Maa Ki Maili Odhni Achchhi Lagi.
ये कैसा कर्ज़ है जिसे मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न आ जाऊं माँ सजदे में रहती है।
Yeh Aisa Karz Hai Jise Main Adaa Kar Hi Nahi Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Aa Jaun Maa Sajde Mein Rehti Hai.
ख़ुदा ने ये सिफ़त दुनिया की हर औरत को बख्शी है,
कि वो पागल भी हो जाए तो बेटे याद रहते है।
Khuda Ne Yeh Sifat Duniya Ki Har Aurat Ko Bakhshi Hai,
Ke Woh Paagal Bhi Ho Jaye To Bete Yaad Rehte Hain.
बहुत बुरा हो फिर भी उसको बहुत भला कहती है
अपना गंदा बच्चा भी माँ दूध का धुला कहती है।
Bahut Bura Ho Phir Bhi Usko Bahut Bhala Kahti Hai,
Apna Ganda Bachcha Bhi Maa Doodh Ka Dhula Kahti Hai.
अभी जिंदा है माँ मेरी मुझे कुछ भी नहीं होगा,
मैं जब घर से निकलता हूँ दुआयें साथ चलती हैं।
Abhi Zinda Hai Maa Meri Mujhe Kuchh Bhi Nahi Hoga,
Main Jab Ghar Se Nikalta Hoon Duaayein Sath Chalti Hain.