Insaniyat Shayari, Hum Insaan Hain

Advertisement

जिस्म की सारी रगें तो
स्याह खून से भर गयी हैं,
फक्र से कहते हैं फिर भी
हम कि हम इंसान हैं।

Jism Ki Saari Ragein To
Syaah Khoon Se Bhar Gayin,
Fakr Se Kehte Hain Phir Bhi
Hum Ki Hum Insaan Hain.

दरख्तों से ताल्लुक का हुनर
सीख ले इंसान,
जड़ों में ज़ख्म लगते हैं
तो टहनियाँ सूख जाती हैं।

Advertisement

Darakhton Se Talluq Ka Hunar
Seekh Le Insaan,
Jadon Mein Zakhm Lagte Hain
To Taheniyan Sookh Jati Hain.

यहाँ हर कोई रखता है
खबर ग़ैरों के गुनाहों की,
अजब फितरत हैं,
कोई आइना नहीं रखता।

Yahan Har Koi Rakhta Hai
Khabar Gairon Ke Gunaahon Ki,
Ajab Fitrat Hai
Koi Aayina Nahi Rakhta.

Advertisement

Shayari Insaan Ki Khwahishein

Sone Ke Darwaje The

Advertisement

Read more Insaniyat Shayari in Hindi