आँसू के धागे से सीते रहे हम जो जख्म तूने दिए।
Aakar Jara Dekh Teri Khatir Hum Kis Tarah Se Jiye,
Aansoo Ke Dhaage Se Seete Rahe Hum Jo Zakhm Tune Diye.
नमक भर कर मेरे ज़ख्मों में तुम क्या मुस्कुराते हो,
मेरे ज़ख्मों को देखो मुस्कुराना इस को कहते हैं।
Namak Bhar Kar Mere Zakhmon Mein Tum Kya Muskurate Ho,
Mere Zakhmon Ko Dekho Muskurana Iss Ko Kehte Hain.
कुरेद-कुरेद कर बड़े जतन से
हमने रखे हैं हरे,
कौन चाहता है कि
उनका दिया कोई ज़ख्म भरे।
Kured-Kured Kar Bade Jatan Se
Humne Rakhe Hain Hare,
Kaun Chaahta Hai Ki
Unka Diya Koi Zakhm Bhare.
तेरे मिलने का गुमान तेरे न मिलने की खलिश,
वक़्त गुजरेगा तो ज़ख्म भी भर जायेंगे।
Tere Milne Ka Gumaan Tere Na Milne Ki Khalish,
Waqt Gujrega To Zakhm Bhi Bhar Jayenge.
मैं उसके चेहरे को दिल से उतार देता हूँ,
कभी-कभी तो मैं खुद को भी मार देता हूँ।
Main Uske Chehare Ko Dil Se Utaar Deta Hoon,
Kabhi Kabhi To Main Khud Ko Bhi Maar Deta Hoon.
बात ऊँची थी मगर बात जरा कम आँकी,
मेरे जज्बात की औकात जरा कम आँकी,
वो फ़रिश्ता कहकर मुझे जलील करता रहा,
मैं इंसान हूँ मेरी जात जरा कम आँकी।
Baat Unchi Thi Magar Baat Jara Kaam Aanki,
Mere Jazbaat Ki Aukaat Jara Kam Aanki,
Wo Farishta Keh Kar Mujhe Jaleel Karta Raha,
Main Insaan Hoon, Meri Jaat Jara Kam Aanki.
अश्क आँखों से दिल से बद्दुआ निकली,
सितम किया याद जब कभी सितमगर का।
Ashq Aankhon Se Dil Se BadDua Nikli,
Sitam Kiya Yaad Jab Kabhi SitamGar Ka.
वो एक बात बहुत तल्ख़ कही थी उसने,
बात तो याद नहीं याद है लहज़ा उसका।
Wo Ek Baat Bahut Talkh Kahi Thi Usne,
Baat To Yaad Nahi, Yaad Hai Lehja Uska.
तुम लौट आने का तकल्लुफ मत करना,
हम एक मोहब्बत को दो बार नहीं करते।
Tum Laut Aane Ka Takalluf Mat Karna,
Hum Ek Mohabbat Ko Do Baar Nahi Karte.