To Zakhm Bhi Bhar Jayenge

Advertisement

तेरे मिलने का गुमान तेरे न मिलने की खलिश,
वक़्त गुजरेगा तो ज़ख्म भी भर जायेंगे।
Tere Milne Ka Gumaan Tere Na Milne Ki Khalish,
Waqt Gujrega To Zakhm Bhi Bhar Jayenge.

मैं उसके चेहरे को दिल से उतार देता हूँ,
कभी-कभी तो मैं खुद को भी मार देता हूँ।
Main Uske Chehare Ko Dil Se Utaar Deta Hoon,
Kabhi Kabhi To Main Khud Ko Bhi Maar Deta Hoon.

बरबाद बस्तियों में तुम किसको ढूंढ़ते हो,
उजड़े हुए लोगों के ठिकाने नहीं होते।
Barbaad Bastiyon Mein Tum Kis Ko Dhoondte Ho,
Ujde Hue Logon Ke Thhikaane Nahi Hote.

Advertisement

ज़ख्म देने का तरीका कोई न मिला उन्हें,
महफ़िल में छेड़ते रहे ज़िक्र-ए-वफा बार-बार।
Zakhm Dene Ka Tareeka Koi Na Mila Unhein,
Mehfil Mein Chhedte Rahe Zikr-e-Wafa Baar-Baar.

अभी मियान में तलवार मत रख अपनी
अभी तो शहर में इक बे-क़सूर बाक़ी है।
Abhi Myaan Mein Talwaar Mat Rakh Apni,
Abhi To Shahar Mein Ek Be-Qasoor Baaqi Hai.

इस सलीके से मुझे क़त्ल किया है उसने,
दुनिया अब भी समझती है कि ज़िंदा हूँ मैं।
Iss Saleeke Se Mujhe Qatl Kiya Hai Uss Ne,
Duniya Ab Bhi Samjhati Hai Ki Zinda Hoon Main.

Advertisement

Mujhe Jaleel Karta Raha

Unka Diya Koi Zakhm Hurt Shayari

Advertisement

Read more Hurt Shayari in Hindi