Hum Apna Gham Bhulaate Hain
तू नाराज न रहा कर तुझे वास्ता है खुदा का,
एक तेरा चेहरा देख हम अपना ग़म भुलाते है।
Tu Naraaj Na Raha Kar Tujhe Wasta Hai Khuda Ka,
Ek Tera Chehra Dekh Hum Apna Gham Bhulaate Hain.
खुश्क आँखों से भी अश्कों की महक आती है,
मैं तेरे ग़म को ज़माने से छुपाऊं कैसे।
Khushk Aankhon Se Bhi Ashqon Ki Mahek Aati Hai,
Main Tere Gham Ko Zamane Se Chhupaaun Kaise.
वो नहीं तो मौत सही, मौत नहीं तो नींद सही,
कोई तो आए शब-ए-ग़म का मुकद्दर बन कर।
Wo Nahi To Maut Sahi Maut Nahi To Neend Sahi,
Koi To Aaye Shab-e-Gham Ka Muqaddar Ban Kar.
चाहा था मुक्कमल हो मेरे ग़म की कहानी,
मैं लिख ना सका कुछ भी तेरे नाम से आगे।
Chaaha Tha Muqammal Ho Mere Gham Ki Kahani,
Main Likh Na Saka Kuchh Bhi Tere Naam Se Aage.
परछाइयों के शहर की तन्हाईयाँ ना पूछ,
अपना शरीक-ए-ग़म कोई अपने सिवा ना था।
Parchhayion Ke Shahar Ki Tanhayian Na Poochh,
Apna Shareek-e-Gham Koyi Apne Siwa Na Tha.
किसे सुनाएँ अपने ग़म के चन्द पन्नो के किस्से
यहाँ तो हर शख्स भरी किताब लिए बैठा है।
Kise Sunayein Apne Gham Ke Chand Panno Ke Kisse,
Yehan To Har Shakhs Bhari Kitab Liye Baitha Hai.