Gam Ki Shayari, Aise To Gham Nahi Mile
ऐसा नहीं के तेरे बाद अहल-ए-करम नहीं मिले,
तुझ सा नहीं मिला कोई, लोग तो कम नहीं मिले,
एक तेरी जुदाई के दर्द की बात और है,
जिनको न सह सके ये दिल, ऐसे तो ग़म नहीं मिले।
Aisa Nahi Ki Tere Baad Ahel-e-Qaram Nahi Mile,
Tujh Sa Nahi Mila Koyi Log To Kam Nahi Mile,
Ek Teri Judaai Ke Dard Ki Baat Aur Hai,
Jinko Na Seh Sake Ye Dil, Aise To Gham Nahi Mile.
बिक गये जब तेरे लब तुझको क्या शिकवा अगर,
ज़िंदगी बादा-ओ-सागर में बहलाई गई,
ऐ ग़मे-दुनिया तुझे क्या इल्म तेरे वास्ते,
किन-किन बहानों से तबियत राह पर लाई गई।
Bik Gaye Jab Tere Lab Tujhko Kya Shiqwa Agar,
Zindagi Baada-o-Sagar Mein Behlaai Gayi,
Ai Ghame-Duniya Tujhe Kya ilm Tere Waste,
Kin-Kin Bahaano Se Tabiyat Raah Pe Laayi Gayi.
हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-ए-आशिक़ी से पहले,
न थी दुश्मनी किसी से तेरी दोस्ती से पहले,
है ये मेरी बदनसीबी तेरा क्या कुसूर इसमें,
तेरे ग़म ने मार डाला मुझे ज़िन्दगी से पहले।
Hume Koyi Gham Nahi Tha Gham-e-Ashiqi Se Pehle,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle,
Hai Ye Meri BadNashibi Tera Kya Kasoor Iss Mein,
Tere Gham Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle.