Dard Shayari, Wo Dard Hi Na Raha
वो दर्द ही न रहा वरना ऐ मता-ए-हयात,
मुझे गुमान भी न था मैं तुझे भुला दूंगा।
Wo Dard Hi Na Raha Varna Ai Mata-e-Hayaat,
Mujhe Gumaan Bhi Na Tha Main Tujhe Bhula Dunga.
शीशा टूटे और बिखर जाये वो बेहतर है,
दरारें न जीने देती हैं न मरने देती हैं।
Sheesha Toote Aur Bikhar Jaye To Behtar Hai,
Daraarein Na Jeene Deti Hain Na Marne Deti Hain.
पर्दा गिरते ही खत्म हो जाते हैं तमाशे सारे,
खूब रोते हैं फिर औरों को हँसाने वाले।
Parda Girte Hi Khatm Ho Jaate Hain Tamaashe Saare,
Khoob Rote Hain Fir Auron Ko Hansaane Wale.
जाने-तन्हा पे गुजर जायें हजारो सदमें,
आँख में अश्क भी आयें ये जरूरी तो नहीं।
Jaane-Tanha Pe Gujar Jayein Hajaro Sadmein,
Aankh Mein Ashq Bhi Aayein Ye Jaroori To Nahi.
अब दर्द उठा है तो गज़ल भी है जरूरी,
पहले भी हुआ करता था इस बार बहुत है।
Ab Dard Uthha Hai To Ghazal Bhi Hai Jaroori,
Pehle Bhi Hua Karta Tha Iss Baar Bahut Hai.