Bhool Jata Hoon Dard-o-Sitam
ख्याल में आता है जब भी उनका चेहरा,
तो लबों पे अक्सर एक फरियाद आती है,
भूल जाते हैं सारे दर्द-ओ-सितम उनके,
जब उनकी थोड़ी सी मोहब्बत याद आती है।
Khyaal Mein Aata Hai Jab Bhi Unka Chehra,
To Labon Pe Aksar Ek Fariyaad Aati Hai,
Bhool Jate Hain Saare Dard-o-Sitam Unke,
Jab Unki Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai.
गुलशन की बहारों पे सर-ए-शाम लिखा है,
फिर उसने किताबों पे मेरा नाम लिखा है,
ये दर्द इसी तरह मेरी दुनिया में रहेगा,
कुछ सोच के उस ने मेरा अंजाम लिखा है।
Gulshan Ki Bahaaron Pe Sar-e-Shaam Likha Hai,
Fir Uss Ne Kitaabon Pe Mera Naam Likha Hai,
Ye Dard Isee Tarah Meri Duniya Mein Rahega,
Kuchh Soch Ke Uss Ne Mera Anjaam Likha Hai.
दर्द है दिल में पर इसका एहसास नहीं होता,
रोता है दिल मेरा जब वो पास नहीं होता,
बर्बाद हो गए हम उसके प्यार में,
और वो कहते हैं इस तरह प्यार नहीं होता।
Dard Hai Dil Mein Par Iska Ehsaas Nahi Hota,
Rota Hai Dil Mera Jab Wo Paas Nahi Hota,
Barbad Ho Gaye Hum Uske Pyar Mein,
Aur Wo Kehte Hain Iss Tarah Pyar Nahi Hota.
यूँ तो हर एक दिल में दर्द नया होता है,
बस बयान करने का अंदाज़ जुदा होता है,
कुछ लोग आँखों से दर्द को बहा लेते हैं,
और किसी की हँसी में भी दर्द छुपा होता है।
Yoon To Har Ek Dil Mein Dard Naya Hota Hai,
Bas Bayaan Karne Ka Andaaz Juda Hota Hai,
Kuchh Log Aankhon Se Dard Bahaa Lete Hain,
Aur Kisi Ki Hansi Mein Bhi Dard Chhupa Hota Hai.