दर्द से हाथ न मिलाते तो और क्या करते,
गम में आँसू न बहते तो और क्या करते,
उसने माँगी थी हमसे रौशनी की दुआ,
हम अपना दिल न जलाते तो और क्या करते।
Dard Se Haath Na Milaate To Aur Kya Karte,
Gham Mein Aansoo Na Bahate To Aur Kya Karte,
Usne Mangi Thi Humse Roshni Ki Duaa,
Hum Apna Dil Na Jalate To Aur Kya Karte.
हँसते हुए ज़ख्मों को भुलाने लगे हैं हम,
हर दर्द के निशान मिटाने लगे हैं हम,
अब और कोई ज़ुल्म सताएगा क्या भला,
जुल्मों-सितम को अब तो सताने लगे हैं हम।
Hanste Huye Zakhmon Ko Bhulane Lage Hain Hum,
Har Dard Ke Nishaan Ko Mitaane Lage Hain Hum,
Ab Aur Koi Zulm Satayega Kya Bhala,
Zulmon-Sitam Ko Ab To Satane Lage Hain Hum.
Zakhm Aur Barhta Gaya
Dard Likhte Hain Aah Nahi Karte