Purane Dard Ki Dawayi

Advertisement

तजुर्बे ने हमें एक बात तो सिखाई है,
एक नया दर्द ही पुराने दर्द की दवाई है।
Tajurbe Ne Hamein Ek Baat To Sikhayi Hai,
Ek Naya Dard Hi Purane Dard Ki Dawayi Hai.

Dard Shayari, Purane Dard Ki Dawaai

Advertisement

आखिरी बार सलाम-ए-दिल-ए-मुज़्तर ले लो,
फिर न लौटेंगे शब-ए-हिज्र के रोने वाले।
Aakhiri Baar Salaam-e-Dil-e-Muztar Le Lo,
Fir Na Lautenge Shab-e-Hijr Ke Rone Wale.

एक दो ज़ख्म नहीं जिस्म है सारा छलनी,
दर्द बेचारा परेशान है कहाँ से निकले।
Ek Do Zakhm Nahin Jism Hai Saara Chhalni,
Dard Bechara Pareshaan Hai Kahan Se Nikle.

हवा से लिपटी हुयी सिसकियों से लगता है,
मेरी कहानी किसी और ने भी दोहराई है।
Hawa Se Lipti Hui Siskiyon Se Lagta Hai,
Meri Kahani Kisi Aur Ne Bhi Dohrayi Hai.

Advertisement

Hindi Painful Poetry, Har Dard Mita Dein

Tumhari Nafraton Ki Peer

Advertisement

Read more Dard Shayari in Hindi