Dard Shayari, Barbaad Pyar Se
न जाने किस तरह के हैं दुनिया के लोग भी,
प्यार भी प्यार से करते हैं और बर्बाद भी प्यार से।
Na Jaane Kis Tarah Ke Hain Iss Duniya Ke Log Bhi,
Pyar Bhi Pyar Se Karte Hain Aur Barbaad Bhi Pyar Se.
लोग मुन्तज़िर ही रहे कि हमें टूटा हुआ देखें,
और हम थे कि दर्द सहते-सहते पत्थर के हो गए।
Log Muntzir Hi Rahe Ki Humein Toota Hua Dekhein,
Aur Hum The Ki Dard Sahte-Sahte Patthar Ke Ho Gaye.
हम ने कब माँगा है तुमसे अपनी वफ़ाओं का सिला,
बस दर्द देते रहा करो मोहब्बत बढ़ती जाएगी।
Hum Ne Kab Manga Hai Tumse Apni Wafaaon Ka Sila,
Bas Dard Dete Raha Karo Mohabbat Barhti Jayegi.
मुझ पर सितम ढा गए मेरी ही ग़ज़ल के शेर,
पढ़-पढ़ के खो रहे हैं वो गैर के ख्याल में।
Mujh Par Sitam Dhha Gaye Meri Hi Ghazal Ke Sher,
Parh-Parh Ke Kho Rahe Hain Wo Ghair Ke Khayal Mein.
वो जान गयी थी हमें दर्द में मुस्कराने की आदत है,
देती थी नया जख्म वो रोज मेरी ख़ुशी के लिए।
Wo Jaan Gayi Thi Hamein Dard Mein Muskurane Aadat Hai,
Deti Thi Naya Zakhm Wo Roj Meri Khushi Ke Liye.