Meri Hansi Mein Chhupa Dard
कोई समझता नहीं मुझे इसका ग़म नहीं करता,
पर तेरे नजरंदाज करने पर मुस्कुरा देता हूँ,
मेरी हँसी में छुपे दर्द को महसूस कर के देख,
मैं तो हँस के यूँ ही खुद को सजा देता हूँ।
Koi Samjhta Nahi Mujhe Iska Gham Nahi Karta,
Par Tere NajarAndaaz Karne Muskura Deta Hoon,
Meri Hansi Mein Chhupe Dard Ko Mahsoos Karke Dekh,
Main To Hans Ke Yoon Hi Khud Ko Saza Deta Hun.
दर्द के दामन में चाहत के कमल खिलते हैं,
अश्क़ की लकीर पर यादों के कदम चलते हैं,
रेंगते ख्यालों में नजर आती हैं मंजिलें,
जब भी निगाहों में ख्वाबों के दिए जलते हैं।
Dard Ke Daaman Mein Chaahat Ke Kamal Khilte Hain,
Ashq Ki Lakeer Par Yaadon Ke Kadam Chalte Hain,
Rengte Khyalon Mein Najar Aati Hain Manzilein,
Jab Bhi Nigaahon Mein Khwaabon Ki Diye Jalte Hain.
उन गलियों से जब गुजरे तो मंज़र अजीब था,
दर्द था मगर वो दिल के बहुत करीब था,
जिसे हम ढूँढ़ते थे अपनी हाथों की लकीरों में,
वो किसी दूसरे की किस्मत किसी और का नसीब था।
Unn Galiyon Se Jab Gujre To Manzar Ajeeb Tha,
Dard Tha Magar Wh Dil Ke Bahut Kareeb Tha,
Jise Hum Dhhoondte The Apni Haatho Ki Lakeeron Mein,
Wo Kisi Doosare Ki Kismat Kisi Aur Ka Naseeb Tha.