Faisla Ye Bhi Mushkil Hai

Advertisement

फैसला ये भी मेरे यार बहुत मुश्किल है,
तेरे ज़ुल्म सहें या कि फ़ना हो जाएँ।
Faisla Ye Bhi Mere Yaar Bahut Mushkil Hai,
Tere Zulm Sahein Ya Ke Fanaa Ho Jayein.

Zulm Sahein Ya Fanaa Ho Jayein

दर्द में भी ये लब मुस्कुरा जाते हैं,
बीते लम्हे हमें जब भी याद आते है।
Dard Mein Bhi Ye Lab Muskura Jaate Hain,
Beete Lamhe Humein Jab Bhi Yaad Aate Hain.

Advertisement

न तू रहेगा न तेरे सितम रहेंगे बाकी​,
दिन तो आना है एक रोज़ हिसाबों वाला​।
Na Tu Rahega Na Tere Sitam Rahenge Baaki,
Din To Aana Hai Ek Roj Hisaabon Wala.

रहा न दिल में वो बेदर्द और दर्द रहा,
मुक़ीम कौन हुआ है मुक़ाम किसका था।
Raha Na Dil Mein Wo Bedard Aur Dard Raha,
Muqeem Kaun Hua Hai Muqaam Kis Ka Tha.

कैसी गुजर रही है सभी पूछते तो हैं,
कैसे गुजारता हूँ कोई पूछता नहीं।
Kaisi Gujar Rahi Hai Sabhi Poochhte To Hain,
Kaise Gujaarta Hoon Koi Poochhta Nahi.

Advertisement

Usne Moonh Mod Liya

Har Dard Qabool Hai

Advertisement

You may also like