Dard Ko Dil Mein Dabaye Rakha
कहाँ कोई मिला ऐसा जिस पर दिल लुटा देते,
हर एक ने धोखा दिया किस किस को भुला देते,
अपने दर्द को अपने दिल ही में दबाये रखा,
अगर बयां करते तो महफिलों को रुला देते।
Kahan Koyi Mila Aisa Jis Par Dil Luta Dete,
Har Ek Ne Dhoka Diya Kis Kisko Bhula Dete,
Apne Dard Ko Apne Dil Hi Mein Dabaye Rakha,
Agar Karte Bayaan To Mehfilon Ko Rula Dete.
आरजू नहीं के ग़म का तूफान टल जाये,
फ़िक्र तो ये है तेरा दिल न बदल जाये,
भुलाना हो मुझको तो एक एहसान करना,
दर्द इतना देना कि मेरी जान निकल जाये।
Aarzoo Nahi Ke Gham Ka Tufan Tal Jaye,
Fikr To Ye Hai Tera Dil Na Badal Jaye,
Bhulana Ho Mujhko To Ek Ehsaan Karna,
Dard Itna Dena Ki Meri Jaan Nikal Jaye.
दिल में है जो दर्द वो दर्द किसे बताएं,
हँसते हुए इन ज़ख्मों को किसे दिखाएँ,
कहती है ये दुनिया हमें खुशनसीब,
मगर इस नसीब की दास्ताँ किसे सुनाएं।
Dil Mein Hai Jo Dard Wo Dard Kise Batayein,
Hanste Huye Inn Zakhmon Ko Kise Dikhayein,
Kehti Hai Ye Duniya Humein KhushNashib,
Magar Iss Naseeb Ki Dastaan Kise Sunayein.