Wo Bewafa Pahle Se Tha
उस के यूँ तर्क-ए-मोहब्बत का सबब होगा कोई,
जी नहीं मानता कि वो बेवफ़ा पहले से था।
Uske Yoon Tark-e-Mohabbat Ka Sabab Hoga Koi,
Jee Nahi Manta Ki Wo Bewafa Pahle Se Tha.
लग जाए जमाने की हवा जाने कब उसको,
वो शख्स भी इंसान है कुछ कह नहीं सकते।
Lag Jaye Zamane Ki Hawa Jaane Kab Usko,
Wo Shakhs Bhi Insaan Hai Kuchh Keh Nahi Sakte.
आता नहीं ख़याल अब अपना भी ऐ जलील
एक बेवफ़ा की याद ने सब कुछ भुला दिया।
Aata Nahi Khayal Ab Apna Bhi Aye Jaleel,
Ek Bewafa Ki Yaad Ne Sab Kuchh Bhula Diya.
उसकी ख्वाहिश है कि आँगन में उतरे सूरज,
भूल बैठा है खुद मोम का घर रखता है।
Uski Khwahish Hai Ki Angan Mein Utare Suraj,
Bhul Baitha Hai Khud Mom Ka Ghar Rakhta Hai.