- Home
- Tears Shayari
- Page-5
आँसू पर शायरी (Tears Shayari in Hindi)
Kabhi Aankh Mein Aansoo Aaye

प्यार कर के कोई जताए ये जरूरी तो नहीं,
याद कर के कोई बताये ये जरूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं अपने,
कभी आँख में आँसू आये जरूरी तो नहीं।
Pyar Kar Ke Koyi Jataye Ye Jaroori To Nahi,
Yaad Kar Ke Koyi Bataye Ye Jaruri To Nahi,
Rone Wale To Dil Mein Hi Ro Lete Hain Apne,
Kabhi Aankh Mein Aansoo Aaye Jaruri To Nahi.
Jo Aansoo Dil Mein Girte Hain
Jo Aansoo Dil Mein Girte Hain
Woh Aankhon Mein Nahi Hote,
Bahut Se Harf Aise Hote Hain
Jo Lafzon Mein Nahi Rahte,
Kitaabon Mein Likhe Jate Hain
Duniya Bhar Ke Afsaane,
Magar Jin Mein Hakiqat Ho
Kitaabon Mein Nahi Rahte.
जो आँसू दिल में गिरते हैं
वो आँखों में नहीं होते,
बहुत से हर्फ़ ऐसे होते हैं
जो लफ़्ज़ों में नहीं रहते,
किताबों में लिखे जाते हैं
दुनिया भर के अफ़साने,
मगर जिन में हकीकत हो
किताबों में नहीं रहते।
Na Jaane Kaun Sa Aansoo
न जाने कौन सा आँसू मेरा राज़ खोल दे,
हम इस ख़्याल से नजरें झुकाए बैठे हैं।
Na Jaane Kaun Sa Aansoo Mera Raaz Khol De,
Hum Is Khayal Se Najrein Jhukaye Baithhe Hain.
फिर आज आँसुओं में नहाई हुई है रात,
शायद हमारी तरह ही सताई हुई है रात।
Fir Aaj Aansuon Mein Nahayi Huyi Hai Raat,
Shayad Humari Tarah Hi Sataayi Huyi Hai Raat.
Magar Aansoo Nikal Pade
इतना तो ज़िन्दगी में किसी की खलल पड़े,
हँसने से हो सुकून ना रोने से कल पड़े,
मुद्दत के बाद उसने जो की प्यार की निगाह,
जी खुश तो हो गया मगर आँसू निकल पड़े।
Itna To Zindagi Na Kisi Ki Khalal Pade,
Hasne Se Ho Sukoon Na Rone Se Kal Pade,
Muddat Ke Baad Usne Jo Kee Pyar Ki Nigaah,
Jee To Khush Ho Gaya Magar Aansoo Nikal Pade.

Aansoo Aankh Se Achanak Nikal Padein
जो आँसू आँख से अचानक निकल पड़ें,
वजह उनकी ज़बान से बयां नहीं होती।
Jo Aansoo Aankh Se Achanak Nikal Padein,
Wajah Unki Jubaan Se Bayaan Nahin Hoti.
देगा अगर दर्द तो खुद भी डूबेगा,
वो एक शख्स जो आँखों में रहता है।
Dega Agar Dard Toh Khud Bhi Doobega,
Wo Ek Shakhs Jo Ankhon Mein Rahta Hai.
