आँसू हमारी आँख में पत्थर के हो गए।
Hasne Ki Justju Mein Dabaaya Jo Dard Ko,
Aansoo Humari Aankh Mein Patthar Ke Ho Gaye.
सोचा ही नहीं था ज़िन्दगी में
ऐसे भी फसाने होंगे,
रोना भी जरुरी होगा
आँसू भी छुपाने होंगे।
Socha Hi Nahi Tha Zindagi Mein
Aise Bhi Fasaane Honge,
Rona Bhi Jaroori Hoga
Aansoo Bhi Chhupane Honge.
दो चार आँसू ही आते हैं पलकों के किनारे पे,
वर्ना आँखों का समंदर गहरा बहुत है।
Do Chaar Aansoo Hi Aate Hain Palkon Ke Kinare Pe,
Varna Aankhon Ka Samandar Gehra Bahut Hain.
वो अश्क़ बन के मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख़्स है पानी के घर में रहता है।
Wo Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai.
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai.
आँसू भी मेरी आँख के अब खुश्क हो गए,
तू ने मेरे खुलूस की कीमत भी छीन ली।
Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Khushk Ho Gaye,
Tu Ne Mere Khuloos Ki Keemat Bhi Chheen Li.
बारिशें हो ही जाती हैं शहर में फ़राज़,
कभी बादलों से तो कभी आँखों से।
Baarishein Ho Hi Jaati Hain Shahar Mein Faraz,
Kabhi Badalon Se... To Kabhi Aankhon Se.
हमें आँसुओं से ज़ख्मों को धोना नहीं आता,
मिलती है ख़ुशी तो उसे खोना नहीं आता,
सह लेते हैं हर ग़म को जब हँसकर हम,
तो लोग कहते है कि हमें रोना नहीं आता।
Humein Aansuon Se Zakhmon Ko Dhona Nahi Aata,
Milti Hai Khushi To Use Khona Nahi Aata,
Seh Lete Hain Har Gham Ko Jab Hans Kar Hum,
To Log Kehte Hain Ke Humein Rona Nahi Aata.