फिर तुझे ढूढ़ने मेरी आँख के आँसू निकले।
Raah Takte Huye Jab Thak Gayi Meri Aankhein,
Fir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansoo Nikle.
मुझे मालूम है तुमने बहुत बरसात देखी है,
मगर मेरी इन्हीं आँखों से सावन हार जाता है।
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai.
मेरी मोहब्बत का जुनून, तुम क्या जानो,
यहाँ मेरी पलकें छलकी, वहाँ तेरा शहर भीग गया।
Meri Mohabbat Ka Junoon, Tum Kya Jaano,
Yahaan Meri Palakein Chhalki, Wahaan Tera Shahar Bheeg Gaya.
रुस्वा करेगी ये जो नमी चश्म-ए-तर में है,
अश्क पी जाओ कि बात अभी घर की घर में है।
Ruswa Karegi Ye Namee Jo Chasm-e-Tar Mein Hai,
Ashq Pee Jaao Ki Baat Abhi Ghar Ki Ghar Mein Hai.
आँखों में आँसुओं की लकीर बन गयी,
जैसी चाही थी वैसी ही तकदीर बन गयी,
हमने तो चलाई थीं रेत में उँगलियाँ,
गौर से देखा तो आपकी तस्वीर बन गयी।
Aankhon Mein Aansuon Ki Lakeer Ban Gayi,
Jaisi Chaahi Thi Waisi Hi Takdeer Ban Gayi,
Humne To Chalayi Thi Ret Mein Ungliyan,
Gaur Se Dekha To Aapki Tasvir Ban Gayi.
प्यास इतनी है मेरी रूह की गहराई में,
अश्क़ गिरता है तो दामन को जला देता है।
Pyaas Itni Hai Meri Rooh Ki Gehrayi Mein,
Ashq Girta Hai To Daaman Ko Jala Deta Hai.
कम नहीं हैं आँसू मेरी आँखों में मगर,
रोता नहीं कि उनमें उसकी तस्वीर दिखती है।
Kam Nahi Hain Aansoo Meri Ankhon Mein Magar,
Rota Nahi Ke Unme Uski Tasveer Dikhti Hai.
जिसे ले गई है अभी हवा
वो वरक़ था दिल की किताब का,
कहीं आँसुओं से मिटा हुआ
कहीं आँसुओं से लिखा हुआ।
Jise Le Gayi Hai Abhi Hawa,
Wo Warq Tha Dil Ki Kitaab Ka,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Kahin Aansuon Se Likha Hua.