Teri Khoobsoorat Aankhien
इश्क के फूल खिलते हैं तेरी खूबसूरत आँखों में,
जहाँ देखे तू एक नजर वहाँ खुशबू बिखर जाए।
Ishq Ke Phool Khilte Hain Teri Khoobsoorat Aankhon Mein,
Jahan Dekhe Tu Ek Najar Wahan Khushboo Bikhar Jaaye.
देखा है मेरी नजरों ने एक रंग छलकते पैमाने का,
यूँ खुलती है आँख किसी की जैसे खुले दर मैखाने का।
Dekha Hai Meri Najron Ne Ek Rang Chhalkte Paimaane Ka,
Yoon Khulti Hai Aankh Kisi Ki Jaise Khule Dar Maikhane Ka.
तेरी आँखों के जादू से तू ख़ुद नहीं है वाकिफ़
ये उसे भी जीना सिखा देती हैं जिसे मरने का शौक़ हो।
Teri Aankho Ke Jadoo Se Tu Khud Nahi Hai Waqif,
Ye Usey Bhi Jeena Sikha Deti Hain Jise Marne Ka Shauk Ho.
तुम्हीं कहते थे कि यह मसले नजर मिलने से सुलझेंगे,
नजर की बात है तो फिर यह लब खामोश रहने दो।
Tumhein Kehte The Ke Yeh Lamhe Najar Milne Se Suljhenge,
Najar Ki Baat Hai To Fir Yeh Lab Khamosh Rehne Do.
क्या कहें, क्या-क्या किया, तेरी निगाहों ने सुलूक,
दिल में आईं दिल में ठहरीं दिल में पैकाँ हो गईं।
Kya Kahein, Kya-Kya Kiya, Teri Nigaahon Ne Sulook,
Dil Mein Aayi Dil Mein Thhehri Dil Mein Paikaan Ho Gayi.