Zindagi Adab Mein Gujar Gayi
एक उम्र गुस्ताखियों के लिये भी नसीब हो,
ये ज़िन्दगी तो बस अदब में ही गुजर गई।
Ek Umar Gustakhiyon Ke Liye Bhi Naseeb Ho,
Yeh Zindagi To Bas Adab Mein Gujar Gayi.
ले दे के अपने पास फ़क़त एक नजर तो है,
क्यूँ देखें ज़िन्दगी को किसी की नजर से हम।
Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Najar To Hai,
Kyun Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Najar Se Hum.
कभी खोले तो कभी ज़ुल्फ़ को बिखराए है,
ज़िन्दगी शाम है और शाम ढली जाए है।
Kabhi Khole To Kabhi Zulf Ko Bikhraye Hai,
Zindagi Shaam Hai Aur Shaam Dhali Jaye Hai.